thoda sa,
bas thoda sa saath aur diya hota
to hum us paar pohonch jaate ....
wo kehte hain na ki raat sabse gehrii tab hoti hai jab ujaala hone ko ho,
kaash thoda intezaar kiya hota
to ujaala ho jaata!
lekin tum wapas laut gayin
phir usi kinaare pe jahan se hum kabhi saath chale thhe
aur main ...
na to wapas laut paaya
na hi kabhi paar pahoncha
na aage badhne ka hausla raha
na peeche jaane ki ichcha
wahin kahin beech samandar mein ruk gayi zindagi meri
phir lehren bahaake kabhi aage le jaatin to kabhi peche
kabhi dooba detin to saans ruk jaati,
aur phir kabhi wohi lehrein oopar ko phenk detin
aur main saans le leta ....
kitne din kitni raaton tak bas yunhi behtaa rahaa
kahin na kahin dil ko yakeen thha,
yakeen ki tum ek din wapas aa jaaogi
aur us paar hamari ek khubsoorat duniya hogi,
aur bas isi yakeen ke sahaare din guzarte gaye,
kabhi kahin koi aahat hoti, to aankhein tumhe dhoondne lagti
phir dheere dheere aankhon mein itnaa dhundhlaa pan aa gaya ki kuch nazar aana bhi band ho gaya
yakeen ki diwaar mein daraarein aane lagi thhiin
intezaar bematlab sa lagne laga thha,
aur ummeed ab mar rahi thhi!
phir ek din dil ne tanha hi behne ka faisla liya
is paar tum thhi par chaah ke bhi is paar main aa nahi paaya
us paar tum nahi thhi to dil ne kabhi us paar bhi jaana nahi chaaha
par samandar ki lehrein ab jhakjhorne lagi tthiin
sabse ladne ki himmat ab toot rahi thhii aur waqt,
waqt haalat ka sahaara lekar mujhe tezi se us paar dhakelne laga thhaa
par aanewaale kal se poori tarah bekhabar mann ab bhi pareshaan thhaa
galtiyon aur pachtaavon ke zakhm abhi poore bhare nahi thhe
dooba hi sahi lekin paani ka saahaara to thha
lekin us paar kinaara thhaa
dartaa thha us paar gaya to kahin mere zakhm koi dekh na le
jaanta thha koi unhe kabhi samajh nahi paayega
paani hi ab kinaara lagne laga thhaa
roz sooraj ugta aur doob jaata
har din jaise bematlab thaa beimaani thha
bas yahi aas thhi ki shayad ye ujaale ke pehle ka gehraa andhera hai
lekin andhera aur gehraa hi hota gaya
koi nahi thha jisse main ye sab keh paata
jo shayad mujhe samajh paata wo ab jaa chuka thhaa

dil mein bohot saari shikaaytein thhiin
bohot saara gussa...
gussa haalat pe
gussa apne aap pe
gussa kuch tum pe kuch khuda pe
gussa apne jazbaat pe
agar is gusse se khud ko bacha paata
to shayad baat kuch aur hoti
agar tumhe bhula paata
to shayad baat kuch aur hoti
agar tumhe ye sab bata paata
to shayad baat kuch aur hoti
agar is dil ko samjha paata
to shayad baat kuch aur hoti
us din us paar bilkul saaf nazar aa raha thha
us paar sab khush thhe
koi bhi meri tarah tanha nahi thhaa
sabke paas koi thha, sabke saath koi thha
un laakhon hazaaron chehron mein
ek chehraa tumhara bhi thha
tum to us paar pohonch chuki thhiin
tum ab kisi aur ke saath thhiin
mujhe poori tarah bhool chuki thiin
aur tum khush thiin, bohot khush thiin
dil ko kuch samajh nahi aaya,
humein to saath us paar jaana thha
lekin tum to aage nikal gayin,
mujhe yunhi tanha chodd ke
us pal jaise sab kuch ruk gaya
pyaar mohabbat par se bharosa hi uthh gaya
us din apni bewakoofi ka ehsaas hua
us din apni nadaani ka deedar hua
jo hua wo ho gaya
lekin ab mujhe jeena hai
apni zindagi ko kuch matlab dena hai
zindagi ko ek maqsad dena hai
aur us maqsad ko jeena hai
khushiyon ko chheenna hai
har din har pal ko yaadgaar bana dena hai
ab mujhe jeena hai
ab mujhe jeena hai
ab mujhe jeena hai
ab mujhe jeena hai .....